Friday, December 10, 2021

Imam Mahdi (a.t.f.s.) In The Traditions of Ahle Tasannun

 Imam Mahdi (a.t.f.s.) In The Traditions of Ahle Tasannun

Some people are of the opinion that the belief in Imam Mahdi (a.t.f.s.) is restricted to the Shias but on the contrary, the books of Ahle Tasannun have not just mentioned Imam Mahdi (a.t.f.s.), but have enumerated his characteristics in astonishing detail.




Tradition / Hadees - 1

Reappearance of Imam (a.t.f.s.) is a necessary condition for the Day of Reckoning

Abdullah b. Masood has reported a tradition on the authority of the Holy Prophet (s.a.w.a.) who prophesied,

“The Day of Reckoning shall not dawn, until a person from my progeny, who will bear my name, rises.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ka Zuhoor Qayamat ki Sharte Lazim Hai

Abdullah b. Masood ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se ye rawayat naql ki hai,

“Qayamat us waqt tak nahi aa sakti jab tak ke mere Ahle Bait (a.s.) mein se ek shakhs zaahir ho jo mera hum-naam hoga.”

[Musnad Ahmad, 1/376, Sunan Tirmizi, vol. 4, part 34, chapter 52, tradition 2231, page 505]







Tradition / Hadees - 2

Traditions pertaining to Imam Mahdi (a.t.f.s.) are most reliable

Abul Husain Aabori opines that traditions relating to Imam Mahdi (a.t.f.s.) are authentic and plenty of narrators have reported on the authority of the Holy Prophet (s.a.w.a.).

"His advent is indisputable. He will be from the progeny of Holy Prophet (s.a.w.a.) and will establish a just government, obliterating tyranny and inequity. His era will mark the return of Hazrat Isa (a.s.), who will pray namaz behind him."

Hazrat Imam Mahdi (a.t.f.s.) Se Mutaalliq Ahadees Mutawaatir Hain

Abul Husain Aabori ne kaha: Imam Mahdi (a.t.f.s.) se muta’alliq rawaayatei’n mutawatir hain aur raawiyo’n ki kasrat ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se rawayate’n naql ki hain.

“Wo zaahir honge aur aap (s.a.w.a.) ke Ahlebait (a.s.) mein se honge. Aur wo zameen se zulm aur na-insaafi ko khatm karte hue ek aadil hukumat ka qayaam farmaayenge. Aur un ke zamane mein Hazrat Isa (a.s.) zaahir honge aur aap (a.s.) ke peeche namaz padhenge.”

[Al-Sawaaeq al-Muhriqah, chapter 11, part 1/254]






Tradition / Hadees - 3

Imam Mahdi (a.t.f.s.) is from the Quraish

Abu Saeed Khudri recounts from Holy Prophet (s.a.w.a.) who prophesied,

"I give you glad tidings of Mahdi (a.t.f.s.). He shall be from the Quraish and rise from my progeny. He shall reappear at a time when confusion and sedition shall wreak havoc. He shall fill the earth with justice and equity, as it would have been inundated with tyranny and injustice."

Hazrat Imam Mahdi (a.t.f.s.) Quraish se Hain

Abul Saeed Khudri ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se rawayat ki hain, ke aap ne farmaya:

“Tumhe Mehdi (a.t.f.s.) ki bashaarat ho, wo Quraish se aur meri itrat se honge ke jab logo'n mein ikhtelaaf hoga aur log bahut zyada mashkook honge. Wo zameen ko Adl o Insaaf se is tarah bhar denge ki jis tarah wo zulm wa jaur se bhari hogi

[Al-Sawaaeq al-Muhriqah, part 1/254, Musnad Ahamd, vol. 3, p. 35 & 52]






Tradition / Hadees - 4

Imam Mahdi (a.t.f.s.) is the Son of the Messenger of Allah (s.a.w.a.)

Abdullah b. Umar narrates from Holy Prophet (s.a.w.a.) who said,

“During the last days, a person from my progeny shall be manifested, who shall share my name and agnomen (kuniyat). He shall overwhelm the earth with justice and lawfulness, as it would have been submerged in tyranny and oppression.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) Farzande Rasule Khuda (s.a.w.a.) hai’n

Abdullah b. Umar ne Janabe Rasule Khuda (s.a.w.a.) se riwayat ki hai,

“Aakhiri zamane mein meri nasl se ek shakhs zaahir hoga jiska naam mera naam hoga, jiski kuniyat meri kuniyat hogi, wo zameen ko adl se is tarah bhar dega jis tarah wo zulm wa jaur se bhari hogi.”

[Tazkereto Khawaas al-Ummah, 363 Minhaaj al-Sunnah, 4/211 Iqd al- Durar, chapter 2/32.]





Tradition / Hadees - 5

Imam Mahdi (a.t.f.s.) is from the sons of Hazrat Fatima (s.a.)

Hazrat Umme Salma (s.a.), wife of Holy Prophet (s.a.w.a.), narrates on his (s.a.w.a.) authority thus,

“Mahdi (a.t.f.s.) is truth, and he shall be from the lineage of Fatima (s.a.).”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) Janabe Fatima (s.a.) ki Aulaad hain

Zaujae Rasul (s.a.wa.), Hazrat Umme Salma (s.a.) ne Rasule Khuda (s.a.w.a.) se riwayat ki hai,

“Mahdi (a.t.f.s.) Haq hai’n, aur Janabe Fatima (s.a.) ki nasl se hai’n.”

[Sunan (Abu Dawood), ‘Kitab al-Mahdi’, tradition 8284 Sunan (Ibn Maajah), 2/1398, chapter 34, tradition 4086 Tareekh al-Kabeer, Bukhari, 3/346, part 1/316]





Tradition / Hadees - 6

Imam Mahdi’s (a.t.f.s.) forehead and nose

Abu Saeed Khudri narrates from Holy Prophet (s.a.w.a.) thus, 

“Mahdi (a.t.f.s.) will have a broad forehead and high nose. He will establish peace and justice on the earth at a time when it would have been filled with tyranny and injustice.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ki Peshani aur Naak

Abu Saeed Khudri ne Janabe Rasule Khuda (s.a.w.a.) se riwayat naql ki hai,

“Mahdi (a.t.f.s.) ki peshaani chaurhi aur naak kharhi hogi. Wo zameen ko adl o Insaaf se is tarah bhar denge jis tarah wo zulm o jaur se bhari hogi.”

[Iqd al-Durar 3/33 Mustradak ala al-Sahihain 4/557 Al iza’ah ma kaana wa ma yakuno bayna yadai al-saa’h, page 138.]




Tradition / Hadees - 7

Imam Mahdi (a.t.f.s.) will bear a Striking Resemblance to Holy Prophet (s.a.w.a.)

Tamim al-Daaromi recounts from Holy Prophet (s.a.w.a.) who prophesied, 

“Mahdi’s (a.t.f.s.) conduct shall resemble mine. Even his visage and appearance shall bear an unmistakable resemblance to mine. He shall fill the earth with justice and amit just as it was filled with despotism and oppression.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ki Rasule Khuda (s.a.w.a.) se Mushabehat

Tamim al-Daaromi ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se riwayat ki hai ke aap (s.a.w.a.) ne farmaya,

“Mahdi’s (a.t.f.s.) ka akhlaaq mere akhlaaq se mushabeh hoga aur unki shakl wa surat bhi mer tarah hogi. Wo zameen ko adl o Insaaf se is tarah bhar denge jis tarah wo zulm o jaur se bhari hogi.”

[Tareekh Baghdad, 9/471, tradition 1501 Iqd al-Durar, chapter 9, part 3/218.]




Tradition / Hadees - 8

Imam Mahdi’s (a.t.f.s.) Occultation

Janab Jabir b. Abdullah Ansari (a.r.) recounts from Holy Prophet (s.a.w.a.), who proclaimed, 

“… There will be an occultation for Mahdi (a.t.f.s.), that will be most perplexing, and will deviate the nations. Eventually he will reappear like a shooting star and fill the earth with justice and equity like it would have been filled with despotism and repression.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ki Ghaibat

Janab Jabir b. Abdullah Ansari (a.r.) ka bayaan hai ke Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) ne farmaya,

“… Mahdi (a.t.f.s.) ke liye ek aisi ghaibat hogi jo bahut hi hairaan-kun hogi jis mein ummatei’n gumraah ho jayengi. Phir wo shahaab-e-saaqib ki tarah zaahir honge aur zameen ko adl o Insaaf se is tarah bhar denge jis tarah wo zulm o jaur se bhari hogi.”

[Yanaabi al-Mawaddah, chapter 94/488-493 Faraaed al-Simtain, 2/334- 335, tradition 586]





Tradition / Hadees - 9

Rationale Behind Occultation of Imam Mahdi (a.t.f.s.)

Ibn Abbas relates that Jabir b. Abdullah Ansari (a.r.) asked Holy Prophet (s.a.w.a.),

“O Prophet (s.a.w.a.)! Will there be an occultation for your son?”

Holy Prophet (s.a.w.a.) replied,

“Yes! So that Allah may purify the faithful and destroy the infidels. O Jabir, this (reason for occultation) is an affair from the affairs of Allah, a secret from one of his secrets that he has not disclosed to His servants. Beware! Never doubt it! For to be afflicted with doubt in Allah’s affairs is apostasy.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ki Ghaibat ki Hikmat

Ibn Abbas se riwayat hai ke Jabir b. Abdullah Ansari (a.r.) ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se daryaft kiya,

“Ae Allah ke Rasool (s.a.w.a.)! Kya aapke farzand ke liye ghaibat hai?”

Aap ne (s.a.w.a.) farmaya,

“Haa’n! ta ke Khuda Wande Aaalam sahibaane imaan ko paak kare aur kaafiro’n ko halaak kare. Ae Jaabir! Ye ghaibat Khuda ke umoor mein se ak amr hai aur Khuda ke raazo’n mein se ek raaz hai jise apne bando’n se poshida rakha hai. Aagaah raho! Is mein hargiz shak na karna kyunke Khuda Wande Aalam ke amr mein shak karna kufr hai.”

[Faraaed al-Simtain, 2/335-336,  tradition 589]






Tradition / Hadees - 10

Those who prepare ground for the reign of Imam Mahdi (a.t.f.s.)

Abdullah b. Harith b. Jazr Zubaidi relates from Holy Prophet (s.a.w.a.),

“The people from the east shall arrive and establish the groundwork for Mahdi’s (a.t.f.s.) government.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ke Hukoomat ki raahe’n humwaar karne wale

Abdullah bin Harith bin Jazr Zubaidi Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se Riwayat naql karte hain,

“Haa’n! ta ke Khuda Wande Aaalam sahibaane imaan ko paak kare aur kaafiro’n ko halaak kare. Ae Jaabir! Ye ghaibat Khuda ke umoor mein se ak amr hai aur Khuda ke raazo’n mein se ek raaz hai jise apne bando’n se poshida rakha hai. Aagaah raho! Is mein hargiz shak na karna kyunke Khuda Wande Aalam ke amr mein shak karna kufr hai.”

[Sunan (Ibn Maajah) chapter 34, ‘The Rising of Mahdi’, tradition 4088 / Majmaul Zavaid, vol. 7, page 318]





Tradition / Hadees - 11

The Time of Reappearance will be Determined Overnight

Imam Ali (a.s.) narrates from Holy Prophet (s.a.w.a.),

“The Mahdi (a.t.f.s.) is from us. Allah will reform all his affairs in one night.”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ka Zuhoor ka waqt ek raat mein tay hoga

Imam Ali (a.s.) ne Hazrat Rasule Khuda (s.a.w.a.) se Riwayat ki hai,

“Imam Mahdi (a.t.f.s.) hum mein se hai’n. Allah unke liye ek raat mein sab umoor ki islaah kar dega.”

[Sunan (Ibn Maajah), chapter 34, ‘The Rising of Mahdi’, tradition 4085. / Musnad of Ahmad b. Hanbal, 1/84]





Tradition / Hadees - 12

Abundant wealth and riches in the time of Imam Mahdi (a.t.f.s.)

Abu Saeed Khudri relates from the Holy Prophet (s.a.w.a.),

“Mahdi (a.t.f.s.) will be from my progeny. In his regime, my nation shall be bestowed with bounties, without parallel in the history of mankind. Everything will be available and distributed freely. Wealth and riches will be in excess. A person shall implore, ‘O Mahdi, give me.’ Imam Mahdi (a.t.f.s.) will retort, ‘Take whatever you please!’”

Imam Mahdi (a.t.f.s.) ke Zamane mein Maal ki Farawani

Abu Saeed Khudri ne Rasule Khuda (s.a.w.a.) se riwayat naql ki,

“Mahdi (a.t.f.s.) meri nasl se honge. Un ki hukoomat mein meri ummat ko aisi nematei’n milengi jo puri insaani tareekh mein kabhi bhi kisi ko nahi mili hongi. Har cheez dastiyaab hogi aur azadana taqseem hogi. Us waqt maal ka ambaar hoga. Ek shakhs sawaal karega ke, Ae Madhi (a.t.f.s.)! Mujhe ata farmaiye to Hazrat (a.t.f.s.) farmayenge, ‘Jitna chaho le lo.’”

[Sunan (Ibn Majah) chapter 34, ‘The Rising of Mahdi’, tradition 4083 / Mustadrak ala al-Sahihain, 4/558]






May Allah hasten the reappearance of Imam Mahdi (a.t.f.s.)








Saturday, January 16, 2021

Burial of Fatima Zahra (s.a.)

 🏴 Ayyame Fatimiyah (s.a.) 🏴

...Fatima Zahra (s.a.) was buried during midnight and Imam Ali (a.s.) built seven more graves around the real grave so that it could not be recognized.

...Fatima Zahra (s.a.) ko aadhi raat ke waqt supurd-e-khaak kiya gaya, Hazrat Ali (a.s.) ne Janabe Zahra (s.a.) ki qabr ke ird gird dusri saat qabrein banayi taake Janabe Zahra (s.a.) ki qabr pahchaani na ja sake.

📚 Baytul Ahzaan (Quoting from Rawzatul Wa'ezeen)



Khutba Of Fadak Series

 KHUTBA OF FADAK SERIES

(Selections from the Sermon of Fadak given by Fatima Zahra (s.a.) when the caliph of the time usurped her right)



Part - 1

Praise and Eulogy for the Lord

"Praise be to Allah for His bounties (upon us) and thanks be to Him for all that He inspired, and commended is His name for all the bounties He created before our own creation, for all the common bounties that He bestowed (upon us) from His Ownself without even (our) asking for it..."

Allah ki Hamd-o-Sana

"Saari Taareefien Allah ke liye hain uski di hui tamaam Ne'mato per aur uska hi shukr hai uske ataa kiye hue ilhaam per, qaabile taareef hai Wo Zaat Jisne be maange tamaam Ne'mato se nawaazaa.."



Part-2

Praise and Eulogy for the Lord

"Praise be to Allah for His bounties (upon us) and thanks be to Him for... abundant and complete bounties, such plenteous and unlimited bounties whose numbers cannot be computed, and thanks cannot be offered for the duration and commencement (of the bounties), and whose perpetuity is beyond comprehension."

Allah ki Hamd-o-Sana

"Saari Taareefien Allah ke liye hain uski di hui tamaam Ne'mato per aur uska hi shukr ke... Usne mukammal (Ne'mate) ataa ki aur pay dar pay aise Ehsanaat kiye jinko gina nahi ja sakta aur na hi uska badla utara ja sakta hai aur unki Ne'mato ki hameshgi dark wa shaoor se bulando bala hai."



Part-3

Witness of the Unity of Allah

"I bear witness that there is no other deity (worthy of worship) except Allah - He is Unique and Unparalleled. Certainly interpretation (and result) of this witness (of monotheism) is sincerity, and it’s comprehension has been placed in the hearts, and the mind is illuminated by its understanding."

Allah ke Wahdaniyat ki Gawahi

"Main gawaahi deti hoon ki Khuda tanha layqe Ibadat hai Uska koi Shareek nahi hai, Tauheed ka kalma aisa kalma hai jiski asaas aur buniyaad akhlaas hai. Tauheed aisi haqeeqat hai jisko har dil dark karta hai, har fikr ko uski nishaaniyon ki azmat ne Raushan aur Munawwar banaya hai."



Part-4

Witness of the Unity of Allah

"He (Allah) cannot be seen with the eyes, nor can be described with the tongues, and His state cannot be perceived."

Allah ke Wahdaniyat ki Gawahi

Uska (Allah ka) deedaar chashme zaahir se na-mumkin hai, uski tauseef se zabaan aajiz hai, uski haqeeqat wahmo gumaan mein bhi na-mumkin hai.



Part-5

Witness of the Unity of Allah

"He is the One Who created all things without any past prototype, and originated them without having any past image and equals. Rather He created them with His Might and dispersed them according to His Will, He did not create them for a need, nor did He shape them for a benefit (for Himself)..."

Allah ke Wahdaniyat ki Gawahi

"Usne (Duniya ki) cheezo ko baghair maadda wa namoona ke paida kiya. Usne baghair kisi naksha wa tasweer ke (kaayenaat) ko khalq kiya, sab cheezo ko apni qudrat wa iraade se paida kiya. Jabke Usko un cheezo ki ehtiyaaj wa zarurat na thi aur na hi unke banaane mein uska koi faayeda tha..."




Part-6

Witness of the Unity of Allah

"He is the One Who created all things... to establish His Wisdom and to bring their (the creature’s) attention to His obedience, and manifest His Might and (so that) His creatures may venerate Him and (He created to) strengthen His invitation by dispatching His prophets and friends."


Allah ke Wahdaniyat ki Gawahi

"Usne (Allah ne) tamaam cheezo ko khalq kiya hai... taake Apni Hikmat ko mustahkam kare aur Apni Itaa'at per logo ko mutawajje kare aur Apni Qudrate la-Yazaal ka elaan karke bando ko bandagi sikhaaye. Aur Apni Daawat ko Rasool aur Wali ke zariye Mohkam wa Mazboot banaye."




Part-7

Witness of the Prophethood of Muhammad (s.a.w.a.)

"And I bear witness that my father Muhammad (s.a.w.a.), is His slave (abd) and His Messenger, while Allah the Almighty chose him and selected him before bestowing prophet-hood upon him, and named him before selecting him, and chose him before sending him (for the mission of Islam), when the whole of creation was concealed in the hidden world, and they were in awe, and were in the extinction of nothingness."


Hazrat Muhammad (s.a.w.a.) ke Risaalat ki gawahi

"Main gawaahi deti hoon ke mere baap Hazrat Mohammad (s.a.w.a.) Khuda ke ibaadat karne wale aur Rasool hain. Unko Paighambar banane se pahle Allah ne unko chuna. Aur unko chunne se pahle unka naam Mohammad rakha. Aur be'sat se pahle unko chuna, jis waqt ye duniya chupi hui thi kisi ka wajood na tha haulnaak adam ka libaas odhe hawaadis the."




Part-8

Witness of the Prophethood of Muhammad (s.a.w.a.)

"He (Allah) saw the nation divided into various religions, addicted to their places of worship, worshipping their idols, denying Allah despite their knowledge of Him. Then Allah illuminated their darkness (misguidance) through the medium of my father Muhammad and lifted the veils of obscurity from their hearts, and removed ignorance from their eyes."

Hazrat Muhammad (s.a.w.a.) ke Risaalat ki gawahi

"Usne (Allah ne) dekha ke ummate mukhtalif deeno mein banti hui hai, kuch aathish kado ke ird gird jama hai (Aag ki puja) kuch buto ki puja kar rahi hain, aur jaante hue bhi Khuda ka inkaar kar rahe hain. Tab Khuda ne Mohammad-e-Mustafa (s.a.w.a.) ke zariye andhero ko roshni mein badla us Rasul ne dilo se shak-o-shubha ko dur kiya, aankhon per pade pardo ko hataya."




Part-9

Regarding The Book Of Allah - Qur’an

"A pledge had been taken from you in advance by Allah and there is among you His remembrance and that is the book of Allah (Qur’an), the speaking one. It is a book of complete truthfulness and a bright light, the brilliant light. Its imminence is evident, its secrets are revealed, its apparent aspects are clear..."

Allah ki Kitaaab Qur'an se Muta'alliq

"Usne tumse pahle hi se ahd-o-paimaan liya hai aur tumhare darmiyaan Uski Apni Nishaani hai, wo Qur'an hai (jo tumhare darmiyan hai) naatiq hai. Ye ek Sachchi kitaab hai jiska noor har taraf phaila hai, jiski shoaaye chamak rahi hain, uske chiraag raushan hain. Uske Asraar aashkaar wa zaahir hain..."




Part-10

Daughter of Prophet (s.a.w.a.) Giving Her Introduction

"O people! Know that I am Fatima and my father was Muhammad. I say and I will repeat this again and again and I do not utter any falsehood, and whatever I do shall not be wrong.
Indeed an Apostle from among yourselves has come to you, grievous to him is your falling into distress, (he is) solicitous regarding your welfare, towards the faithful (he is) compassionate, (and) merciful."


Rasool Ki Beti Apna Ta'rruf Karati Hui

"Logo jaan lo! Main Fatima hoon, Mere baap Muhammade Mustafa (s.a.w.a.) hain, Shuru se aakhir tak wahi kahti rahoongi aur na to main jhooth bolti hoon aur na hi kuch ghalat karti hoon. Mere baap tumhare darmiyaan Rasool bankar aaye, Tumhari Sakhtiyaa'n wa mushkilaat (Kufr wa shirk ko dekh kar) unko azeeyat hoti thi, is baat ke khwaahishmand the ki tumko bhalai wa neki ka raasta mil jaaye, Momino ke saath Meharbaan the."




Part-11

Role of Imam Ali (a.s.) in the Defense of Islam

"He (Imam Ali (a.s.)) would crush them (enemies of Islam) and extinguish the blaze of their fire with his sword and he (Imam Ali (a.s.)) bore extreme brutality in the way of Allah and strove to obey the commands of Allah. He was the nearest to the Prophet of Allah (s.a.w.a.) and the master of the friends of Allah."

Hazrat Ali (a.s.) ki Shuja'at aur Islam mein unka Kirdaar

"Imam Ali (a.s.) ne unke (Dushmanane Islam) saro ko kuchal diya the aur unki nako ko zmeen per ragad diya aur jang ki aag ke sholo ko apni talwaar se bujha diya. wo (Imam Ali (a.s.) ita'ate Khuda mein Sakht kosh, Rasool se qareeb aur waliyon ke sardar hain."




Part-12

Criticism Against the Treachery of Men

"When Allah the Almighty exalted his Prophet from this perishable world towards the abode of His prophets and His chosen ones, the thorns of hypocrisy became manifest in you and the mantle of your religion gave, and the astray ones, who were silent until yesterday, suddenly started shrieking; the degraded and mean ones came out of their burrows into the open ground, and the valiant ones of the polytheists of falsehood started roaring."

Gaddaaron Per Tanqeed

"Phir jab Khuda ne apne Nabi (s.a.w.a.) ko daar-e-baqa ki taraf bula bheja jo Ambiya wa Asfiyaa ka thikaana tha to tum mein nifaaq ke aasaar zaahir hone lage, deen ka rang pheeka padne laga, gumraah kun awaazein aane lagi aur benaamo nishaan log sir uthane lage."




Part-13

Criticism Against the Treachery of Men

"You started to snatch the rights of others and entered the spring that did not belong to you and you did all of this when not much time had passed since the passing of the Prophet and the wound (of his death) was deep and our hearts had not yet healed, and the corpse of the Prophet was not even laid to rest in the grave!"

Gaddaaron Per Tanqeed

"Tumne parayi sawaari per qabza jama liya, dusro ke chashme per waarid ho gaye (Masnade Khilaafat per na-jaayaz qabza ki taraf ishara). Halanke Rasule Khuda (s.a.w.a.) ko guzre hue kuch hi din hue hain abhi to gham bhi taaza hai abhi Rasule Khuda (s.a.w.a.) ko qabr mein utara hai."




Part-14

Criticism Against the Treachery of Men

"You did not even wait that the tempest may calm down! Rather, you hastened to take the reins (of the caliphate) into your hands. After having acquired it (the caliphate), you started to ignite the fire of mutiny and you became engrossed in inciting the fire. You responded to the call of Satan, the seducer, and you intended to put out the light of the glorious religion. You started to destroy the practices of the chosen Prophet, then you delighted in suckling the delicacies of the caliphate and opposed the Ahlul Bayt (a.s.) in secret and in the open."

Gaddaaron Per Tanqeed

"Tumne Rasool (s.a.w.a.) ke baad thoda sa bhi intezaar nahi kiya aur apne aamaal per ghaur nahi karte ki fauran fitne ki aag bhadka di. Shaitan ki awaaz per labbaik kahne lage, deen ke noor ko bujhane mein lag gaye, sunnate nabi ki barbaadi mein tul gaye. ba-zaahir zabaan per islaam ke liye hamdardi jaari hai lekin faqat Islaam ke naam se faayeda uthana chahte ho, Rasool ke Ahlebait (a.s.) aur unke aulaad ko nuqsaan pahuchana ke darpay ho."




Part-15

Reasoning of Fatima for Fadak

"Now you presume that we do not have any inheritance from the Prophet - do you follow the customs of the (age of) ignorance? Is it the judgement of (the days of) ignorance (the Pagan era) that they desire? Who (else) can be better than Allah to judge for the people of assured faith. Indeed, it is as bright as the sun that I am the daughter of the Prophet of Allah."

Shahzadi (s.a.) ne apne Meeras ke bare mein farmaya

"Kya tumhara ye khyaal hai ki main apne baap ki meeras nahi le sakti, kya tum daure Jahiliyat ki rasmo per abhi bhi qaayam ho. Jabki Momino ke nazdeek Khuda se behtar koi dusra hukm karne wala nahi hai. Kya tum log nahi jaante ho yaqeenan raushan aaftaab ki tarah is baat ko khoob jante ho ki main Rasool (s.a.w.a.) ki beti hoo."




Part-16

Reasoning of Fatima Zahra (s.a.) for Fadak

"O son of Abū Quhafah (Abu Bakr)! Is it contained in the Glorious Qurʾan that one should inherit from their father; while in your opinion, I should not inherit from my father? Indeed you have come with an unusual thing (attributed) upon Allah and His Prophet. Did you then intentionally forsake the Book of Allah and leave it behind your backs?"

Shahzadi (s.a.) ne apne Meeras ke bare mein farmaya

"Ae Abu Quhafa ke bete (Abu Bakr) ye batao ki Qur'an ki rau se tum apne baap ke waaris bano lekin main apne baap ke maal ki waaris nahi ban sakti? Agar main apne baap ke tarke ki waaris nahi ban sakti hoon, to Yaqeenan ye Khuda aur Rasul ko jhutlana hua, kya tumne jaanboojh kar Quran ke hukm ko chorha hai aur use pase pusht daal diya hai."




Part-17

Reasoning of Fatima Zahra (s.a.) for Fadak

After Quoting following verses, Fatima Zahra (s.a.) said:
Suratul Naml (27): 16, Suratul Maryam (19): 5-6, Suratul Anfal (8): 75, Suratul Nisa (4): 11, Suratul Baqarah (2): 180

"...are you more cognizant of understanding the general and particular verses of the Qurʾan than my father and my cousin (Imam ʿAli)? Then take it (Fadak) until we meet you on the Day of Judgement - where Allah will be the Best Judge, and Muhammad will be the claimant on that day, and our destined time of meeting will be the Resurrection and on that promised day"

Shahzadi (s.a.) ne apne Meeras ke bare mein farmaya

Janabe Zahra (sa) ne Quran ke Surah Naml ki Ayt 16, S.Maryam ki ayt 5-6, S.Anfal ki ayt 75, S.Nisa ki ayt 11, S.Baqarah ki ayt 180 ko naql kiya aur farmaya
"Kya tumhara khyaal ye hai ki Quran ke aam wa khaas ke baare mein mere baap aur unke bhai Ali (a.s.) se zyada jante ho? To phir isko rakho ke jab tak hum Roze Qayamat nahi milte. Jaha behtareen faisla karne wala Khuda hai, sardari Mohammad (s.a.w.a.) ke haathon mein hogi aur wo wadagah qiyaamt ka din hoga."




Part-18

Intense Criticism of the Ansar

Then Sayyidah Fatima (s.a.) turned towards the Anṣar and said,
"What is this slackness (that you display) in regards to me while you are witnessing the oppression being meted upon me, but you still lie in a deep sleep! Did my father not say that the rights of a father for his children must be considered? How soon have you changed tracks, even though you possess the strength to stand up for my rights and are capable of supporting me regarding my claim!"


Shahzadi (s.a.) Ansar ko Deeni Ghairat dilati hain

Uske baad Ansaar ki taraf rukh karke farmaya:
"Mere haq ke silsile mein ye kaisi kamzori ka muzahera kar rahe ho? Aur mere uper hone wale zulm se ghafil ho, kya mere baap Rasule Khuda (s.a.w.a.) ka ye farman nahi tha ke kisi shakhs ka ehteraam aur uski hifazat uski aulad ke ehteram karne mein hoti hai? Tumne bahut jaldi susti ka muzahera kiya aur bahut jald apne ko haqeer bana liya halanke tum mein itni taqat payi jati hai ki mera haq mujhko dila do."


- Hazrat Fatima Zahra (s.a.)


🔸🔸🔸
Shia Wallpapers
Instagram.com/shiahwallpapers
Facebook.com/shiahwallpapers